Are you searching for Dialogues Of Indian Cinema?

These days, Internet is full loaded with Superhit Dialogues & Shayari sites. If you need to get the high-quality  Dialogues Of Indian Cinema & Shayaries From Movies and share it together along with your family & friends then We are providing the best & Latest Collection of Dialogues & Shayari for Love like high-quality Bollywood Dialogues, Hindi Movie Dialogues, Movie Dialogues in hindi, Bollywood Movie Dialogues, Shayaris From Bollywood, and many more.

You can peruse here your most loved Dialogues & Shayari as indicated by your emotions like love, Pain, amusing, sentimental, energy, excruciating, inspiration about existence and so on. These Dialogues & Shayari can be imparted to your companions, relative, husband, wife, spouse, girlfriend and boyfriend or as you need. Expectation you will like this Hindi Dialogues & Shayari Collection.

Dialogues Of Indian Cinema

Dialogues Of Indian Cinema

Woh dekh-dekh hum mein jeete hai … hum dekh-dekh unhe peete hai … yeh meri zaar ka nada nahi hai doston … mere phatte jooton ke beete hai
Yeh nigahen nashtar, yeh honth kausar … meri aagosh mein hosh bhi behosh hoga … ab bhi waqt hai nikal lo bhailog … nahi toh kal subah afsoos hoga
Allah ke noor se chalka hai chehra … yeh kaisi bandagi banta hai chehra … joh kal tak ajnabi anjaan sa tha … hamari zindagi banta hai chehra
Allah re jism-e-yaar ki khoobi ke khud-ba-khud … rangeeniyon mein doob gaya pairahan tamaam
Aurat maa hoti hai, bahen hoti hai, patni hoti hai, dost hoti hai … aur jab woh kuch nahi hoti, toh tawaif hoti hai
Bada pyara hai pyare yeh ladki ka chakkar … nahi mili toh shayar, mil gayi toh shohar
Badle badle mere sarkar nazar aate hai … aur mujhko barbaadi ke aasaar nazar aate hai
Duniya mein tu aayi hai ashk peene ke liye … muskurana hi padega tujhe jeene ke liye
Ek hi saf mein khade ho gaye mahmood-o-ayaz … na koi banda raha aur na koi banda-nawaz
Falak ko zid hai jahan bijliyan girane ki … hum mein bhi zid hai wahin apna aashiyan banane ki


Dialogues Of Indian Cinema
Gas ho jaye khatam toh jala lo chula … shehar mein swayamvar kyun kare jab bagal mein ho dulha
Gham se khali nahi jism ka kona koi … hum rahe na rahe, hum pe mat rona koi
Jeeti hui baazi haari nahi jaati … imaan ke taange par koi sawari nahi aati
Khushiyan kisi ki mohtaj nahin hoti, dosti yunhi ittefaq se nahin hoti … kuch toh maine honge is pal ke, warna yunhi aapse mulaqat nahin hoti
Kitna mushkil hai mohabbat ki kahani likhna … jaise pani se, pani pe, pani likhna
Koi umeed bar nahi aati, koi soorat nazar nahi aati … maut ka aana toh ek din mo-ayeeyan hai, neend kyun raat bhar nahi aati
Kya mazaa baar baar milta hai tumhe humse rooth jaane mein … roothne mein lagti hai do ghadiyan, umar kat jayegi manane mein
Meri mohabbat ka tum yakeen karlo … kahin na umar guzar jaye aazmane mein
Mohabbat mein kabhi aisi bhi halat paayi jaati hai … tabiyat aur ghabrati hai jab behlayi jaati hai
Mujhe meri talwar do aur meri dhaal do … aur iska mooh kala karke isse yahan se nikaal do
Na jaagte hue khwab dekha karo, na chaho usse jise paa na sako … pyar kahan kisi ka poora hota hai, pyar ka pehla akshar adhoora hota hai
Na surat, na huliya, na shakal … aur ladki ko kehta hai pyar karne bahar chal
Sui aur wagi lo aur pyar ke dhaage … seeyo kapde pehenke jinko jadoo jism ka jaage
Baarat mein halki si jhalak apni dikhake … chhoda mujhe is husn ne deewana banake … doori na hui dil ko kisi tarah gawara … chhod aaya hamesha ke liye takht hazara
Dard se aankhen chaar kar lenge, hum bhi imtihaan de denge … teri dosti ke khatir aye dost, hum dushmano se bhi pyar kar lenge

Dialogues Of Indian Cinema
Dhongi shaadi ka tumne rachaya fisool … na kiya na karoongi yeh rishta kabool
Dil mein joh aag hai sabko dikha doonga … joh uthi doli teri duniya mein aag main laga doonga
Do suiyon ke beech zindagi kya kya khel dikhaye … naya purana natak karta waqt guzarta jaye
Ek umeed kahi rang se lehrai hai … dil mein aayi hai toh duniya mein bahaar aayi hai
Ishq aur mushq chupaye chupta nahi … baar baar dekhi adayein Rajjo ki, dil bharta nahi
Jaane kya badalon ke darmiyan saazish hui … uska ghar mitti ka tha, uske hi ghar baarish hui
Jab woh maan gaye gulfaam … tab subah ho ya shaam … pyar hi pyar hai apna kaam
Janam tera is duniya mein kabhi nahi hoga … main shaadi nahi karoonga, tu paida kaise hoga?
Keh raha hai dil yeh rangeela … kab tak rahoonga tanha aur dheela … aaj apne pyar ka pani barsakar … dekh tujhe kaise karta hoon main bheega
Khoob phulegi phalegi beti Harparsad ki … baap ne toh karke shaadi zindagi barbaad ki
Khuchal doonga, masal doonga, jala doonga, loota doonga … rulaya mujhko kismat ne … main duniya ko rula doonga
Kis bedardi se ujhada hai mera chaman … ab main kahan bechunga dal sabzi aur mutton
Sitaron ki mehfil sajji hai, us mein ek hoor ek pari hai … joh zindagi hamari hai, hum mein jaan se bhi pyari hai

Dialogues Of Indian Cinema
Wafa ki aag hum zalim tere dil mein laga denge … kasam teri kisi din ishq karna bhi sikha denge
Watan pe mitne waalon ki yun khatam nahi hoti kahaniyan … hum mein toh phir bhi yaad rakhegi duniya, nahi rahengi tumhari nishaaniyan
Woh maut bhi kitni haseen hogi … apne janaze ke paas dus barah kudiyan namkeen hogi
Yaar ki mehfil mein kab ki patt chuki gandheriyan … jhadoo lekar aaye hai shayad uthane bediyan
Yeh duniya gham toh deti hai, lekin sharikh-e-gham nahi hoti … aur is duniya mein kisi ke door jaane se na, mohabbat kam nahi hoti
Aaj ka kaam kal karo, kal ka kaam parso … itni jaldi kya hai, jab jeena hai barso
Aap kare aaram hum kare vishram … aam ke aam guthliyon ke daam
Ab ishq waalon ki duniya hogi tehas-nehas … jab ghar ghar pahunchega yeh MMS
Agar tumhare ishq ko koi laal jhanda dikhayega … yakeen karo yeh ghalib unko dhanda dikhayega
Chand tasveer-e-butaan, chand haseeno ke khutoot … baad marne ke mere ghar se yeh samaan nikla
Chook gaye do nain se aur thokaren kha gaye paon … moorakh mukhiya bhool kare aur bhugte saara gaon
Duniya waalo mujhe na dikhao aaina … nahi toh main bolonga “Made In China”
Ek baar joh humne tarkaari pakka li … ungliyan chaat chaatke khaye Bihari ho ya Bengali

Dialogues Of Indian Cinema
Ek hi waqt har insaan ke liye alag hota hai … kisi ke liye achcha hota hai, toh kisi ke liye burra hota hai
Is jahaan mein aaye ho toh kuch aaisa karo kadardaan … ke jis gali se guzro toh awaaz aaye, abbajaan abbajaan
Isne tumhe dekha angle badal badalke … aur tumne isse maara sandal badal badalke


You Can also read:

  • Filmi Shayari
  • Bollywood Shayari
  • Bollywood Movie Shayari
  • Shayari and Dialogues in Hindi
  • Superhit Dialogues
  • Leave a Reply