Are you searching for Dialogues In Bollywood?

These days, Internet is full loaded with Superhit Dialogues & Shayari sites. If you need to get the high-quality  Dialogues In Bollywood & Dialogues Collection From Hindi Movies and share it together along with your family & friends then We are providing the best & Latest Collection of Dialogues & Shayari for Love like high-quality Dialogue Hindi Me, Dialogues From Bollywood, Dialogues From Hindi Movies, Dialogues From Hindi Films, Dialogues From Films, and many more.

You can peruse here your most loved Dialogues & Shayari as indicated by your emotions like love, Pain, amusing, sentimental, energy, excruciating, inspiration about existence and so on. These Dialogues & Shayari can be imparted to your companions, relative, husband, wife, spouse, girlfriend and boyfriend or as you need. Expectation you will like this Hindi Dialogues & Shayari Collection.

Dialogues In Bollywood

Dialogues In Bollywood

Jiske paas ho pyar ki amanat … ab Allah karega uski hifazat

Main jaanta tha tumhari aankhon mein mera intezar hai, tumhare dil mein mera pyar hai … magar yeh zalim zamana hum dono ke beech deewar hai

Murkhon ke mohalle mein sayano ka jhopda … kahan se chalaye is duniya mein samajhdhari ka rokda

Na main Dilli waala, na main CBI waala … ek behen ka bhai, ek maa ka beta … himmatwala!

Nahi dalenge hum haath izzat pe tumhari … pehnayenge mangalsutra yahi khwaish hai hamari

Pagal premi ko yaad karna teri bhool hogi … uske aane ki umeed phisool hogi

Soz jab dil mein utar aata hai … nagma aankhon se nazar aata hai

Tera tabassum ho gaya mere dil ke paar … yeh zakhmi dil lekar kahan jaon main … main chahoonga ki tum meri rafiq-e-hayat bano … jab tak is duniya mein qaid muqarrar hai, tum mere saath raho

Tere teer-e-neemkash ko koi mere dil se pooche … yeh khalish kahan se hoti joh jigar ke paar hota … joh nigah ki thi zalim toh phir aankh kyun churai … wohi teer kyun na maara joh jigar ke paar hota

There is a world beyond the stars … and there are still more examinations left in love

Yeh husn Allah Allah, nazar tauba tauba … ki ek hi jhalak mein khudai bhula di … haseeno ne loota hum mein … aur humne haseeno pe sari jawani luta di

Aye aasmaan tere khuda se nahi hai khauff … aye zameen tere aadmi se darr lagta hai


Dialogues In Bollywood Movies

Badalne waali hum cheez nahi … arre hum mard hai, koi kameez nahi

Banaya hai jisne tumko dekho usse kaise hum banate hai … maa banane se pehle bhabhi usse hum banate hai

Bekhudi ki zindagi hum jiya nahi karte … jaam doosron se cheenkar hum piya nahi karte … unko mohabbat hai toh aakar izhaar karen … peecha hum bhi kisika kiya nahi karte

Dil mein na sahi kadmo mein sahi, jagah toh di usne … aye Allah tera lakh shukar hai, kahin se toh shuruvat ki usne

Insaan ki khwaish ki koi inteha nahi … do gaz zameen chahiye do gaz kafan ke baad

Jhoomte masti kesu tere lache lache … in adaaon pe teri mar gaye achche achche

Lipat jaate hai woh bijli ki darr se … ilahi yeh ghata do din toh barse

Main aaya hoon yahan par tere liye … aur tu banayi gayi hai mere liye

Main zubaan se lafzon ki tasveer khenchta hoon … atith toh sab dikhate hai, main kabhi kabhi bhavishya bhi dikhata hoon

Mat samajhna ki main chai nahi pani kam hoon … main phataka nahi bomb hoon

Rooh ko dard mila, dard ko aankhen na mili … tujhko mehsoos kiya hai, tujhe dekha toh nahi … dard ki raah se guzre toh zamana jaane … aap ka mujhse, mera aap se rishta kya hai

Saj gaye hum lute hue sajinda jaise behte hai … aur yaar gaye magar hum besharam zinda jaise behte hai

Seeti bajhi rail ki alert ho jaiye … ticket katti aapki, seedha upar jaiye


Dialogues In Bollywood Movies

Sher dahaadte hai toh kaanpte huye geedhar girte hai … hum toh woh hai joh sheron ke mooh mein haath daalke unke daant ginte hai

Tu khelta hoga toofano se, humne toh toofan paale hai … joh darte hai so marte hai, hum markar jeene waale hai

Tum doodh mangoge hum kheer denge … tum Kashmir mangoge hum cheer denge

Tumhari khoobsurati ne khuda se khatta kara di … kahin khud se nazar na lag jaye … yunkar tumhe nazar na di

Unki aag ki lachak se patthar bhi pighal jaate hai … zinda toh madhosh hote hi hai, murde bhi behak jaate hai

Yahan ki fikar wahan ka khayal rakha hai … badi ada se dono jahan sambhal rakha hai

Apne desh nikle the hum leke lutiya dori … kaudi kaudi jodi ban gaye Lala aaj karodi

Apne haathon se sawara hai tumhe kudrat ne, dekhkar dekhte reh jaane ko jee chahta hai … noor hi noor chalakta hai haseen chehre se, bas yahi sajde mein gir jaane ko jee chahta hai … mere daaman ko koi aur na chhu payega, tumko chhukar yeh kasam khane ko jee chahta hai

Apne hisse ki zindagi toh hum jee chuke Chunni babu, ab toh bus dhadkano ka lihaaz karte hai … kya kahen yeh duniya waalo ko joh, aakhri saans par bhi aitraaz karte hai

Apne paap maqsad se is kadar hath gaye … phadna tha dushman ko, khud hi phat gaye

Dhoodh ka mazaa tab aata hai jab us mein ho elaichi, badam aur pista … jab dil se dil mil jaate hai toh ban jaata hai bhai behen ka rishta


Dialogues In Bollywood Movies

Jali ko aag kehte hai, bhuji ko raakh kehte hai … jis raakh se barood banti hai usse Raghav Prakash kehte hai … aag laga doonga yeh aasman jaala doonga … teri yaad mein janam yeh jahaan hila doonga

Kiski talvar par sar rakhon yeh bata do mujhe … ishq karna agar khata hai toh saza do mujhe

Koi ladki dabaav mein aake, darke, majboor hoke, ghabrake agar hui ho nikaah par raazi … shaadi jayaz nahi hai woh qazi

Kulhadi mein lakdi ka dasta na hota … toh lakdi ke katne ka rasta na hota

Laaton ke bhoot jab nahi maane baat … toh kheench ke dedo unke bum pe laat

Maangan maran saman hai, arre mat koi maango beekh … maangan se marna bhala, yeh satguru ki seekh

Mercedes chalane waale cycle chala rahe hai … kis kis bahane dekho tumko mana rahe hai

Meri kismat se tu mujhe mili miss … mutual funds are subject to market risk

Mohabbat humne maana zindagi barbad kar deti hai … yeh kya kam hai ki marr jaane pe duniya yaad karti hai

Neeli chatri waale, agar tu hai toh meri fariyad sun … is duniya mein kahi ladkiyan hai … ek toh, arre ek toh mere liye chun

Pedh, nadi aur dharti se bada koi daani nahi … aur foren joh apni bhool sudhaar le usse bada koi gyani nahi

Politics ka bukhaar bura hota hai, kursi ka khumaar bura hota hai … is desh ke netaon se bachke rehna doston, in logon ka toh pyar bhi bura hota hai

Pyar mein sauda karne ki aadat in aamiron ki … jaan le leti hai hum jaise gareebon ki

Sharmati hai kyun aaj meri baahon mein aake … le jaonga ek din tujhe doli mein bithake


Dialogues In Bollywood Movies

Woh mili mujhse Heer ki tarah … taste mein thi woh kheer ki tarah … aur dil ke paar hui woh teer ki tarah

Ek dost ne ek dost ko yun peeta … tann ki shakti, mann ki shakti senorita

Husn ka mazaak na uda … kahin husn ke haathon tera mazaak na ban jaaye … manchala hai, khoobsurat hai, magar ladka hai tu … tujhe ladkon aur mardon mein fark kaun samjhaye

Khudi ko kar buland itna, ki tu Himalaya pe ja pahunche … aur Khuda khud tujhse yeh pooche, abhe laikhat utrega kaise?

Na yeh Mussa marega, na mujhe jeene dega … itna batade re mujhe, tu Mussa ki kitni supari lega

Zindagi chubne lagi kaanton ki tarah yaar mujhe … har pal tere intezaar ka sadiyon ki tarah guzra


You Can also read:

  • Hindi Film Dialogues
  • Dialogues Of Indian Cinema
  • Shayaries From Movies
  • Bollywood Dialogues
  • Hindi Movie Dialogues
  • Leave a Reply