Are you searching for Shayaris From Bollywood?

These days, Internet is full loaded with Superhit Dialogues & Shayari sites. If you need to get the high-quality  Shayaris From Bollywood & Filmi Shayari and share it together along with your family & friends then We are providing the best & Latest Collection of Dialogues & Shayari for Love like high-quality Bollywood Shayari, Bollywood Movie Shayari, Shayari and Dialogues in Hindi, Superhit Dialogues, Filmy Dialogues, and many more.

You can peruse here your most loved Dialogues & Shayari as indicated by your emotions like love, Pain, amusing, sentimental, energy, excruciating, inspiration about existence and so on. These Dialogues & Shayari can be imparted to your companions, relative, husband, wife, spouse, girlfriend and boyfriend or as you need. Expectation you will like this Hindi Dialogues & Shayari Collection.

Shayaris From Bollywood

Shayaris From Bollywood

Kabhi tera dar, kabhi darbadar, kabhi arsh par, kabhi farsh par … arre gham-e-aashiqui tera shukriya, main kahan kahan se guzar gaya
Kal shyam aur thi, aaj shyam aur hai … kal thikaane aur the, aaj manzil aur hai
Kashtiyan sabki kinare pe pahunch jaati hai … nakhuda jinka na ho unka khuda hota hai
Khat ka mazmoon bhap lete hai lifafa dekh kar … naam ko bhi jaan lete hai qayafa dekh kar
Kuch baatein reh jaati hai ankahi … joh na kahun karo us par yakeen
Kya milega bhala rulaake mujhe … paoge kya jala jalake mujhe
Laila ke aangan mein joh bhangra ho gaya … Majnu naacha aur yoon naacha ke langda ho gaya
Maana maine Ali Bhai ka kehna, maana tune Ali Bhai ka kehna … lekin us budhe ki baat tu seriously mat lena, aur hamesha Mussa se bachke rehna
Sitaron se aage jahan aur bhi hai … aasman se aage aasman aur bhi hai
Yahan aaj kal har shaksh, har pal haadsa hone se darta hai … khilona hai joh mitti ka woh fanaa hone se darta hai … hum sabke dilon ke kisi kone mein yeh masoom bache bachiyan … hum badhon ki dekhkar duniya, bada hone se darte hai
Yeh ajeeb sa khela hai … haan aur na ka mela hai … shakkar ka daana kabhi karela hai … kabhi Savita, kabhi Sunita, kabhi Bela hai


Shayaris From Bollywood
Ab ke hum bichade toh shayad kabhi khwabon mein mile … jis tarah sookhe hue phool kitaabon mein mile
Aisa laga khuda ne rakh diya hamare dil pe haath … liya naam hamare unhone kuch aisi ada ke saath
Angdhai na lena aaise haathon ko uthakar … seene se tere dekh dupatta na satak jaye
Auron ke liye gunaah sahi … hum piye toh shabaab banti hai … arre sau ghamo ko nichodne ke baad … ek katra sharaab banti hai
Bijnor mein gunda pakda gaya … hairan hoon is daur mein gunda pakda gaya
Ek chumma tu mujhko udhar dede … badle mein Middlesex Trafalgar Square lele
Ghis jaonga, pitt jaonga … ek baar haan kehdo, tumhare pyar mein mitt jaonga
Hai bas ki har ek unke ishaare mein nishaan aur … karte hai mohabbat toh guzarta hai gumaan aur … yaa rab na woh samjhe hai na samjhenge meri baat … de aur dil unko joh na de mujhko zubaan aur
Har dam duayen dena, har lamha aahen bharna … unka bhi kaam karlo aur apna bhi kaam karna
Hawa hi aaisi chali hai ki jee bahal nahi … varna hum toh bahut kam udaas rehte hai
Jab itni bewafai par tujhe dil pyar karta hai … aare zalim agar tu bawafaa hota toh kya hota
Kitna pyar hai tumse yeh jaan lo … tum hi zindagi ho meri is baat ko maan lo … tumhe dene ko mere paas kuch bhi nahi … bas ek jaan hai, jab jee chahe maang lo

Shayaris From Bollywood
Kuch hosh nahi rehta, kuch dhayan nahi rehta … insaan mohabbat mein insaan nahi rehta
Kya naza ki takleefon mein mazaa, jab maut na aaye jawani mein … kya luft janaza uthne ka, har gaam pe jab maatam na hua
Lakh baando tum hum mein zanjeer se … waqt par niklenge phir bhi teer se
Maut ho aaisi jisse sara zamana yaad kare … yun toh aate hai sabhi is duniya mein marne ke liye
Milte hi nazarein dil milaya nahi jaata … aagaaz ko anjaam banaya nahi jaata
Mohabbat mitt nahi sakti zamaane ke sataane se … ke suraj bhuj nahi sakta paani mein dubaane se
Mujhe na chhedo yaaron main nashe mein hoon … sheeshay mein main, main mein nasha, main nashe mein hoon
Na jaane badalon ke darmiyan kaisi saazish hui … mera ghar mitti ka tha, mere hi ghar baarish hui
Sharma gaye, lajja gaye, daaman chhuda gaye … aye ishq marhaba, woh yahan tak toh aa gaye
Apne matlab ke vaaste humne aasmano se kuch nahi maanga … humne gulshan ki khair maangi hai koi takht-o-taj nahi maanga
Bhagwan ke saath khel, sentimental hai maaf kar dega … bhai mental hai, cheerke rakh dega

Shayaris From Bollywood
Doston ke dukh dard baatne dekho Jaggi aaya hai … abhe kaun hai woh kabootar jisne tumhe sataya hai
Falsafi ko bahas ke andar khuda milta nahi … dor ko suljha raha hoon aur sirah milta nahi
Hoon giraftar-e-ulfat-e-sayaad … varna baaki hai taqat-e-parwaaz
Hum lakh chupaye pyar magar duniya ko pata chal jayega … lekin chup chupke milne se milne ka maza toh aayega
Humko aata hi nahi maut se darna yaaron … hum toh toofan ko samajhte hai khilona yaaron
Janbaaz kalakaron se nahi hai duniya khali … is mard ke liye bajao ek baar zordar taali
Jin sar pe ho Waheguru ji ka haath … woh banate hai London ko Dhobi Ghat
Jisne dil pe zakhm khaye ho, woh is zakhm se kya gabrayega … peeye ho jisne khoon ke aasoon, kya woh is khoon se mar jayega
Joh tha jalkar khaak ho gaya, ab sirf ek saaya hoon … Mr. X naam hai mera, tumhari maut bankar aaya hoon
Kehte hai pyar mein neend udh jaati hai … koi humse bhi mohabbat kare … kambhakt neend bahut aati hai
Khuda bachaye teri mast mast aankhon se … farishta ho toh bahek jaaye, aadmi kya hai
Kis kis ko yaad ki jiye, kis kis ko royiye … aaram badi cheez hai, mooh dhakke soyiye
Kitne toofan uthaye aankhon ne, naav yaadon ki doobti hi nahi … tujhse milne ki, tujhko paane ki koi tatbir soojti hi nahi

Shayaris From Bollywood
Sar jiske aage na jhuke woh darwaza kisi aur ka hoga, mera nahi … aur joh har darwaze pe jhuk jaye woh sar kisi aur ka hoga, hamara nahi
Ulfat ke raaste mein na deewar koi aaye … jaise mile hai hum, khuda sabko yunhi milaye
Upar waale tera khel nirala … kutte ki dumm ko seedha kar daala
Wearing the police uniform I’m watching the entertainment of generosity … I’ve seen a flower garden get destroyed many a times, but today I’m looking at the condition of this club
Woh mere paas hota hai goya … jab koi doosra nahi hota
Wohi meri duniya, wohi meri puja … uske sivah nahi aur koi duja
Aaj se main tera kambal tu meri razai … main tera Honda tu meri Hyundai … main tera langot tu meri neck tie … main tujhe salaam karta hoon bhai

You Can also read:

  • Padmavati Movie Dialogues
  • Shayari In Hindi
  • Hindi Dialogues
  • Dialogues In Bollywood
  • Dialogues Collection From Hindi Movies
  • Leave a Reply