Are you searching for Shayari and Dialogues in Hindi?

These days, Internet is full loaded with Superhit Dialogues & Shayari sites. If you need to get the high-quality  Shayari and Dialogues in Hindi & Superhit Dialogues and share it together along with your family & friends then We are providing the best & Latest Collection of Dialogues & Shayari for Love like high-quality Filmy Dialogues, Padmavati Movie Dialogues, Shayari In Hindi, Hindi Dialogues, Dialogues In Bollywood, and many more.

You can peruse here your most loved Dialogues & Shayari as indicated by your emotions like love, Pain, amusing, sentimental, energy, excruciating, inspiration about existence and so on. These Dialogues & Shayari can be imparted to your companions, relative, husband, wife, spouse, girlfriend and boyfriend or as you need. Expectation you will like this Hindi Dialogues & Shayari Collection.

Shayari and Dialogues in Hindi

Shayari and Dialogues in Hindi

Chahe marr hum jaye phir bhi marham lagake jayenge … dost ke dil se utar ke nahi, dost ke dil mein utar ke jayenge
Chandni raat, haathon mein haath … peeche se padi baap ki laat
Dono jahaan teri mohabbat mein haarke … woh chal diya bechara baithakke maar maarke
Dushman lakh bura chahe toh kya hota hai … wohi hota hai joh manzure khuda hota hai
Ek mahine se toh hai sookha, na jaane kahan saavan ki chhadi hai … andar khatiya padi hai, bahar khatiya khadi hai
Fiza bhi kuch nashe mein hai … shabaab hai, sharaab hai … joh yeh nahi toh zindagi azaab hi azaab hai
Hasogi toh jeet jaogi, rohogi toh dil dukhaogi … chahe paas raho nah raho, hamesha apne saath paogi
Ho jaoge majboor tum bhi kuch is tarah … Ranjhe ki mohabbat mein Laila thi jis tarah
Hum do jism ek jaan hai … unhi se mera savera, meri har ek shyam hai … unhi ke charano mein mere charon dhaam hai
Hum toh ghante hai lekin woh khatre ki ghanti hai … saali China ka maal hai nah guarantee hai na warranty hai
Kya ishq ka khoon kisi sahukar ke paan ki pichkari hai … kya tumhari zindagi zindagi, hamari zindagi bimari hai … tumhara khoon khoon, hamara khoon pani hai … tumhara naam naam, hamara naam gaali hai … tum karo zulm toh woh sarkari hai … aur hum kare fariyad toh woh gaddari hai
Phirta raha main desh desh, mann mein usse basaye … uske ird-gird jeevan ke lamhe mittaye, banaye
Phool hoon gulaab ka chameli ka mat samajhna … aashiq hoon aapka apni saheli ka mat samajhna
Pyar bhaut badi googly hoti hai … mil jaye toh badam varna saali moongphali bhi nahi hoti hai
Pyas ab pani ho jaye, katra katra ghulab ho jaye …. tum apne haathon se joh pila do mujhko, toh mineral water bhi sharab ho jaye


Shayari and Dialogues in Hindi
Ram se bacha na Ravan, Krishna se bacha na Kans … mujhse kya bachega Thakur, tu aur tera vansh
Thandi thandi rabdi vich garma garam Jalebi pao … te phir khao … toh phir wow
Ya rab na woh samjhe na samajhenge meri baat … de aur na dil unko, toh de mujhko zabaan
Aankhon hi aankhon mein ishaare ho gaye … hum tumhare aur tum hamare ho gaye
Asli khoobsurati tareef ki mohtaj nahi hoti … uske liye toh bas aankhon ki wah wah hi kaafi hai
Bachpan ki mohabbat ko dil se na juda karna … jab yaad meri aaye milne ki dua karna
Bahut kam baha khoon zameeno ki khatir … katte sar hazaron haseeno ki khatir
Bechkar imaan kamai daulat toh insaan kya … namak khaya jis watan ka, ussi ka na hua toh Musalman kya
Chehre ki khushi, dil ki hassi, sharm-o-haya … tujhpe vaar aaye hai tere deewane, jaane kya kya
Dane dane par likha hai khane waale ka naam … woh teri hai aur teri hi rahegi subah shyam
Dil ki lagi mein dhadkano pe ikhtiyar nahi hota … ishq woh jalwa hai joh pardanasheen nahi hota
Do gaz zameen toh mili, mitti naseeb na hui … zalim zamane ne hamari kabar baraf mein bana di
Ishq ne ghalib nikamma kar diya … varna hum bhi aadmi they kaam ke
Koi nahi hoga beghar jab talak zinda hai Amar … maut jise dhoondti hai dar-badar, log usse kehte hai baazigar
Kyun aag lagati phirti ho, jab garam hawa se darti ho … dil pehle jalakar khaak kiya, ab thandi saansein bharti ho
Na gul-e-naghma hoon na parda-e-saaz … main hoon apne shikast ki awaaz
Na shehar dekho na biyabaan dekho … khuda ka eklauta naam-o-nishaan dekho … bas aankh uthao aur Rehan dekho
Nasha pilake girana toh sabko aata hai … aare mazaa toh tab hai ki girton ko thaam le saakhi
Parbat bola main bada main bada main bada … sar ooncha kiye sarhad par khada … bakht bola tu kaise bada … tere shikhar par toh bhagwan Shankar khada

Shayari and Dialogues in Hindi
Pritam Singh zinda rehne ka ek mauka sabko deta hai … joh maan le toh theek, varna upar jaake rota hai
Sari umar gavah di kamane mein paisa … aur bad mein yahi saala paisa ban gaya apne dushman jaisa
Sheesha ho ya dil ho aakhir toot jaata hai … lab tak aate aate haathon se sagar choot jaata hai
Somvaar ko sagai, phir Ganga ki bidai … aur bhabhi issi baat par khila do hum sabko mithai
Taar is majnoon ka aaya mujhe Holland se … Sonia ji sair karke aa gayi England se
Aag suraj mein hoti hai, jalna zameen ko padta hai … mohabbat nigahein karti hai, tadapna dil ko padta hai
Chamdi ukhaadkar tera chehra bhigaad doonga … tukde udaakar tere dal-dal mein gaad doonga
Chhodunga main na us but-e-kafir ka poojna … chhode na khalq go mujhe kafir kahe bagair
Dar badar sarr patakne se bhala kya hoga … wahi hoga joh taqdeer mein likha hoga

Shayari and Dialogues in Hindi
Dheere dheere re mana, dheere sab kuch hoye … aur maali seenche sau ghada, ritu aave phal hoye
Dil cheez kya hai aap meri jaan lijiye … bus ek baar mera kaha maan lijiye … is anjuman mein aapko aana hai baar baar … deewar-o-dar ko gaur se pehchaan lijiye
Fakira khada dukaan par, maange sabki khair … na kahu usse dosti, na kahu usse bair
Ghalib na mara tha, na mara hai, na marega … kyun ki aashiq ka bachcha na sudhra hai, na sudhrega
Haathon mein tera haath ho aur safar pe tera saath ho … aankhon mein dalkar aankhen bin kahe hi saari baat ho
Har baar main teri jheel si aankhon mein doob jaata hoon … lekin is baar nahi, ruk main swimming suit pehen ke aata hoon
Is aurat ke mann mein chupa hai paap … bachche ka woh padosi hai baap
Mere junoon ki misaal deta hai zamana … kyun ki maut se darta nahi Parwana
Meri subahon ko roshni dedo … meri shaamon ko chandni dedo … mujhko tum meri zindagi dedo
Mohabbat ko samajhna hai agar toh dariya mein kuda kar … kyun ki kinare pe ukhudu bahetne se andaaz-e-toofan nahi hota
Mujh jaise vakil se kabhi mat lena panga … varna kapde pehne rahoge aur duniya samjhegi nanga


You Can also read:

  • Dialogues Collection From Hindi Movies
  • Dialogue Hindi Me
  • Dialogues From Bollywood
  • Dialogues From Hindi Movies
  • Dialogues From Hindi Films
  • Leave a Reply