Are you searching for Movie Dialogues in hindi?
These days, Internet is full loaded with Superhit Dialogues & Shayari sites. If you need to get the high-quality Movie Dialogues in hindi & Bollywood Movie Dialogues and share it together along with your family & friends then We are providing the best & Latest Collection of Dialogues & Shayari for Love like high-quality Shayaris From Bollywood, Filmi Shayari, Bollywood Shayari, Bollywood Movie Shayari, Shayari and Dialogues in Hindi, and many more.
You can peruse here your most loved Dialogues & Shayari as indicated by your emotions like love, Pain, amusing, sentimental, energy, excruciating, inspiration about existence and so on. These Dialogues & Shayari can be imparted to your companions, relative, husband, wife, spouse, girlfriend and boyfriend or as you need. Expectation you will like this Hindi Dialogues & Shayari Collection.
Movie Dialogues in Hindi
Loha ho ya faulad, ya ho pahadon ki aulad … jamke phatke lagaonga … yahan meri hukumat hai, tere chakke chudaonga
Nikalna khuld se aadam ka sunte aaye the lekin … bahut beabroo hokar tere kooche se hum nikle
Pajame ne kaha dhoti se … bane hum dono ek dhaage se … farak agar hai hum mein toh sirf itna … tu khulti peeche se, main aage se
Phatte huye joote ke chedh se us paar dekhoge na, haqeeqat nazar aayegi … joota bada duniya choti nazar aayegi … kismat phatke haath mein aa jayegi
Purane joh ho jaate hai bhav woh khaate hai … is liye aksar hum naye ko aazmate hai
Rahiman dhaga prem ka mat todo chhatkai … aaisi sharan chhodkar pagle tu kahan jaye
Tujhe yaad kar liya hai aayat ki tarah … ab tera zikr hoga ibadat ki tarah
Unko aata hai pyar pe gussa … humko gusse pe pyar aata hai
Aapki kitni sachi paakh mohabbat hai … arre sach kehte hai kehne waale, sach ko hamesha rahat hai
Asar usko zara nahi hota, ranj rahat fiza nahi hota … tum mere paas hote ho goya, jab koi doosra nahi hota
Bacha tha ek hi dost, uski bhi ho rahi hai shaadi … yahan har mandap se ladki bhaagti hai, isse kehte hai barbaadi
Bahut ho gayi pyar ki acting, bahut gaa liye duet … ab jis kaam ke liye main tumhe yahan laya hoon na, just do it
Movie Dialogues in Hindi
Bechain ho rahe hai woh sheron ke dhahadon se … gira diye jaoge tum in pahadon se
Chalti chakki dekh kar, diya kabira roye … do paatan ke beech mein, sabit bacha na koye
Chehra mera tha, nigaahein uski … khamoshi mein bhi woh baatein uski … mere chehre pe ghazal likhti gayi … sher kehti hui aankhen uski
Dal fry ho yah biryani, ghar ka khana changa … bahar khane jaoge, toh ho jayega panga
Dhai din ki dophari … shaam raat amavas ki … sheesham ke ghode par hoke savaar … aayegi shaamat gunehgaron ki
Jahan sach na chale wahan jhoot sahi … aur jahan haq na mile wahan loot sahi
Kisi ke kaan mein heera, kisi ki aankh mein heera … mujhe heeron se kya lena, mera mehboob hai heera
Ladki ko maane Lakshmi, phir bhi ladka hi laage pyara … ek ladke ki khatir, pehda kardi ladki gyarah
Na main shayar hoon, na shayar ka bhatija hoon … main toh jhi apne maa baap ke manoranjan ka natija hoon
Naag bola main bada main bada … Shiv Shankar ke gale mein pada … bakht bola tu kaise bada … tere phan pe toh Kanhaiya khada
Namkeen nani, naughty nana hai … maike kab tak rahoongi, Ram ke ghar jana hai
Naseeb insaan ka banta hai thokarein khane ke baad … aur rang lati hai henna patthar pe pis jaane ke baad
Pani se pyaas nah bhuji toh maikhane ki taraf chal nikla … soocha shikayat karoon teri khuda se … par khuda bhi tera aashiq nikla
Socha na tha mohabbat ka yeh bhi anjaam aayega … royegi tu aur dil ko mere qaraar aayega
Suttebaazi na kare toh na kabhi bimaar ho … ek toh paisa bache doosra badan tayaar ho
Movie Dialogues in Hindi
Tann lade toh tann mukk jaaye … rooh jude toh judi reh jaaye
Tere hoothon ki muskurahat ki hifazat hum karenge … tere aankhon se behte huye aasoon ki bagawat hum karenge
Aapka haath hai ya hathoda … aapke hisse ko kis hadse ne toda
Beta rayees ka magar jangju bhi hai … daulat ke saath saath, ladai ki khubhi bhi hai
Bholi bhali shakal waale hote hai jallad se … bewafaaon se pyar kaun kare, husn ka aitbaar kaun kare
Burai sang joh mel rachaya … phir kabhi na chutte uska saaya
Chaman mein ikhtalat-e-rangboo se baat banti hai … hum hi hum hai toh kya hum hai … tum hi tum ho toh kya tum ho
Doob maro is insaaf par, aasun bahao is kanoon par … joh kamzoron ke liye talwar ki dhaar, aur zabardast ke liye bank-e-bahar hai … joh apne liye nagme-e-saaz, aur hamare liye maut ki awaaz hai
Faasla shiddat-e-ehsaas se kam hota hai … ek zara haath bada do toh chu loon tumhe
Gazab ki maang hoti hai joh dil ko maang leti hai … ek aaisi taang hoti hai joh dil ko taang deti hai
Haath kangan ko aarsi kya … joh Urdu padhe uske liye Farsi kya
Haqeeqat khul gayi teri ki tu kaisa gavala hai … kamine dushmano ke gaon ka tu rehne waala hai
Jab chahe chuna lagaye ragad ke khaye … ab khud pe baat aayi toh kare hai hai … arre bhoya pedh babool ka toh aam kahan se khaye
Mohabbat karne waalon ke maula saath hai … aye dushman teri kya taqat, teri kya aukaat hai
Movie Dialogues in Hindi
Muddai lakh bura chahe to kya hota hai … wohi hota hai joh manzoore khuda hota hai
Na ched ab mujhko, rehne de yahin tak dastan meri … kahunga sach toh jal jayega dil tera, zabaan meri
Na koi kisi ka raqeeb hota hai … na koi kisi ka habeeb hota hai … khuda ki rehmat se ban jaate hai rishtey, jahan jiska naseeb hota hai
Na maut aati hai, na tum aati ho … par Zohra Bai tum bahut achcha gaati ho
Tere vaade pe jeeye hum toh yeh jaan choot jaana … ke khushi se mar na jaate agar aitbaar hota
Tirchi nigaahon se na dekh aashiq-e-dilgir ko … kaise teerandaz ho tum, zara seedha toh karlo teer ko
Tu is zameen ki cheez nahi, tu jaane kahan se aayi hai … tu is chaman ka phool nahi, tu kis gulistan se aayi hai
Tu mujhe chahe na chahe yeh tere bas mein toh hai … aur main tujhko na chahun yeh mere bas mein nahi
Tum gham-e-beti mein dubli na hui … main bekaari mein mota ho gaya … tum balti se ho gayi drum … main glass se lota ho gaya
Aap hai gul-e-gulzar, mausam-e-bahar … chehre par hai gussa, dil mein hai pyar … aa gale lag ja mere yaar
Aaye hai toh jayenge … raja, runk, fakeer … ek sinhasan chhad chale … duja bandhe zanjeer
Agar koi alag tarah jeena chahta hai, toh usse jeene do … har dil apni hi tarah dhadakta hai, har dil dhadakne do
Akal shakal ke chakkar mein, jurm na ho sangeen … hum toh mast vanar hai, kabhi na ho gangeen
You Can also read:
Superhit Dialogues
Filmy Dialogues
Padmavati Movie Dialogues
Shayari In Hindi
Hindi Dialogues
Like this:
Like Loading...
Related