Are you searching for Hindi Movie Dialogues?

These days, Internet is full loaded with Superhit Dialogues & Shayari sites. If you need to get the high-quality  Hindi Movie Dialogues & Movie Dialogues in hindi and share it together along with your family & friends then We are providing the best & Latest Collection of Dialogues & Shayari for Love like high-quality Bollywood Movie Dialogues, Shayaris From Bollywood, Filmi Shayari, Bollywood Shayari, Bollywood Movie Shayari, and many more.

You can peruse here your most loved Dialogues & Shayari as indicated by your emotions like love, Pain, amusing, sentimental, energy, excruciating, inspiration about existence and so on. These Dialogues & Shayari can be imparted to your companions, relative, husband, wife, spouse, girlfriend and boyfriend or as you need. Expectation you will like this Hindi Dialogues & Shayari Collection.

Hindi Movie Dialogues

Hindi Movie Dialogues

Bankar, savarkar woh nikle makaan se … yahi shor hoga yahan se, wahan se … qayamat qayamat kisse kehte ho … woh dekho qayamat chali jaa rahi hai
Bewafaa tujhko pukarenge zamane waale … na chura aankh mere dil ko churane waale
Bholi Punjaban chidiya nahi cheel hai … coffin mein aakhri keel hai
Butane mahwaz ujadhi hui manzil mein rehte hai … ki jiski jaan lete hai, us hi ke dil mein rehte hai
Ishq ki chot ka kuch dil pe asar ho toh sahi … dard kam ho ya zyada, magar ho toh sahi
Khuda kisi ko itni khudai na de … ke apne sivah kuch dikhai na de
Khushi hazar sahi, gham judha nahi hota … gareeb kitni bhi pee le, nasha nahi hota
Kismat toh kholne ki baat hai, khul jaati hai … har dil ki chaabi hai, dhoondo toh mil jaati hai
Koi mujhpar taras nahi khaata, koi patthar pighal nahi paata … koi sunta nahi meri fariyaad, ek main aur saikadon jallad
Kya husn hai, kya jawaani hai … yeh ladki hai ya pariyon ki rani hai
Mujhe gham khilao, mujhe aasoon pilao … taaki mere johar par nikhaar aaye … naqad nahi toh udhaar aaye
Mujhpar tere roop ka jaadu hai bekaar … kaam hai tera naachna, naach bhare darbar


Hindi Movie Dialogues
Shaant shaant … is desh mein toh Gautam aur Gandhi ka naam hai … yahan khroad aur hinsa ka kya kaam hai
Shyam hote hi tanhaiyan mujhe til-til maarne lagti hai … aaise mein agar koi saathi saath na ho, toh aasoon bhi gale mil-mil behne lagte hai
Tere dil mein meri saanson ko panaah mil jaye … tere ishq mein meri jaan fanaa ho jaye
Teri zulfon se chanti aati bulb ki roshni ko dekh aaisa laga … jaise kisi jharoke se chaand jhaank raha ho
Unko khuda mile jinko hai khuda ki talaash … mujhko apna hissa mile, bas baat khallas
Aag petrol ko nahi chhodti … nevla saanp ko nahi chhodta … aur jab main paison ka hisaab jodhta hoon toh main apne baap ko nahi chhodta
Aankhen hai toh dekh le, nahi khulega gate … aur bahut bookha pyasa hai, toh kahin aur jaake kha chocolate
Dil paya albela maine … tabiyat meri rangeeli … aaj khushi mein maine bhai yahan … thodi si bhaang peeli
Hum jism nahi, rooh ko bas mein karne ka shauk rakhte hai … ujaalon mein nahi, andheron mein savarte hai
Is aashiq ki sachi mohabbat kubool karke tu lele yeh gulaab … phir tujhe apne haathon se pakaake khilaonga shahi galouti aur tandoor kabab
Kal yeh inaam dekh sari duniya baimaan ho jayegi … toh harjai ko yakeen hai, kal sari khudai be-imaan ho jayegi

Hindi Movie Dialogues
Kaun kehta hai qayamat aayegi sab mar jayenge … hum Bihari hoon pedh pe chad jayenge
Khali-bali ho gaya hai dil duniya se mera … jab se pehna hai maine yeh ishq-e-sehra … taar-vaar dil ke sab toot se gaye … neendon wale jugnu rooth raaton se gaye … lag sa gaya hai khwaabon ka aankhon mein dera
Khili thi chaandni, charon taraf pani barasta tha … main jab pehda hua, toh meri maa roti thi aur baap hasta tha
Khili thi dhoop-e-harsam aur pani barasta tha … jab tu paida hua toh teri maa roti thi aur baap hasta tha
Makaan tha kabhi, ab khandar viran lagta hai … tera thopda Panipat ka maidan lagta hai
Maut ke mandiyon mein ja-jakar apne beto ki boliyan di hai … desh ne jab bhi ek sar manga, humne bhar-bharke jholiyan di hai
Mere hi haathon mein likhi hai taqdeer meri … aur meri hi taqdeer pe mera bas nahi chalta
Meri nigaah ne yeh kaisa khawab dekha hai … zameen pe chalta hua mehtab dekha hai
Tere liye kaam karte karte logon ka paseena nikla … aur tu toh bahut bada kameena nikla … tune toh bola tha tu izzat dega … lekin kya pata tha tu saala hamari bhi le lega
Tere zakhm meri tadap se harre hai … meri aankh mein tere aasoon bhare hai
Titanic kab ki doob chuki hai varna us mein bithakar pyar se bhejta yeh bhaiya … train ki ticket book ho chuki hai, biwi ghar se nikal de na toh chale jaana karte “Chaiyya Chaiyya”
Tu murghi hai mere ghar ki … aur main hoon tera murgha, woh bhi tharki
Tum kya leke aaye the, kya leke jaoge … nange chale aaye the, nange hi chale jaoge
Yun toh bhuj chuka hai tumhare husn ka hookah … aare ek hum hai joh gudh-gudhaye jaate hai
Zindagi kamaal hoti hai … ulhaj jaaye toh jaan lele … sulhaj jaaye toh bemisaal hoti hai

Hindi Movie Dialogues
Aap hum mein bhool jao, hum mein koi gham nahi … jis din humne aapko bhula diya, samajh li jiyega is duniya mein hum nahi
Achchi soorat bhi kya buri shai hai … jisne daali buri nazar daali
Apni toh khair man gayi jab aap aayi thi yahan … dhoonda kiye khud hi ho, jaane kahan kahan
Aye khuda tu jis haal mein rakhega khush rahenge … teri khushi mein khush tera khidmat guzar hai … banda hoon tera tu mera parvardigar hai
Bade gaur se sun raha tha zamana … tum hi so gaye dastan kehte kehte
Dhuan, dhuan aur dhuan … chala hai dil, chala hai jahaan … is jalti duniya ko chhodkar jaon kahan
Kaash mein oon ka gola hota … aur unki ungliyon mein lipta hota
Kadam sambhal ke chalna toh subah bajegi khushiyon ki shehnai … varna phir tu, tera takiya, aur teri tanhai
Kali dekhi thi, ab gulzar hai tu … churi dekhi thi, ab talwar hai tu
Kasam lelo joh mehfil mein tumhe danista dekha ho … nazar aakhir nazar hai beirrada uth gayi hogi … tajub kya lagi agar aa gaye Meena ji seene mein … hazaron dil mein angaray bhare the, dab gayi hogi
Kaun khada hai, kaun adda hai … aye Manoranjana meri jaan, yeh bhootnath aaj phir tumhare peeche pada hai

Hindi Movie Dialogues
Mehfil mein jinke aane se roshan huye chirag … sajde mein unke jhuk gaya khud dekho aftab
Meri dastaan-e-hasrat woh suna sunake roye … mujhe aazmane wale mujhe aazmake roye … main bewatan musafir, mera naam bebasi hai … mera kaun is jahaan mein joh gale lagakar roye
Mohabbat aur jurrat kya cheez hai, yeh tu kya janega kasai … yeh deewana bankar rahega, tumhara permanent jamai
Mohabbat mein jeena, mohabbat mein marna … na aansoon bahana, na fariyad karna
Morni bina mor kis kaam ka … yeh sindoor hai Ram naam ka


You Can also read:

  • Shayari and Dialogues in Hindi
  • Superhit Dialogues
  • Filmy Dialogues
  • Padmavati Movie Dialogues
  • Shayari In Hindi
  • Leave a Reply