Are you searching for Shayaries From Movies?

These days, Internet is full loaded with Superhit Dialogues & Shayari sites. If you need to get the high-quality  Shayaries From Movies & Bollywood Dialogues and share it together along with your family & friends then We are providing the best & Latest Collection of Dialogues & Shayari for Love like high-quality Hindi Movie Dialogues, Movie Dialogues in hindi, Bollywood Movie Dialogues, Shayaris From Bollywood, Filmi Shayari, and many more.

You can peruse here your most loved Dialogues & Shayari as indicated by your emotions like love, Pain, amusing, sentimental, energy, excruciating, inspiration about existence and so on. These Dialogues & Shayari can be imparted to your companions, relative, husband, wife, spouse, girlfriend and boyfriend or as you need. Expectation you will like this Hindi Dialogues & Shayari Collection.

Shayaries From Movies

Shayaris from Movies

Joh santo ki baat na maane woh barso pachtaye … jis jis raah se guzre tis tis joote khaye
Kabhi akkha, kabhi adha, kabhi pauwa bhi peete hai … agar phokat ki mil jaye, toh matka bhi peete hai
Kabhi kabhi apne heere ki pehchan nahi hoti … keh dete hum toh yunhi kuch bhi ladakpan mein … magar sach yeh hai ki … aap nahi hote toh jaan nahi hoti
Maut se kya darna, usse toh aana hai … do din ki hai zindagi, hum mein apna farz nibhana hai
Patjhad ke baad aate hai din bahaar ke … jeena kya jeevan se haar ke
Pila de oak se saakhi joh humse nafrat hai … pyala agar nahi deta na de, sharaab toh de
Pyar ki shuruvat hai rota hai kya … aage aage dekhiye hota hai kya
Ravan bola main bada main bada main bada … Navagraha mere singhasan ke neeche pada … bakht bola tu kaika bada … tu toh che mahina Bali ki kankh mein pada
Tere har question ka agar dunga jawaab … toh samajh le teri zindagi ho jayegi kharab
Tu jab aa jaati hai paas … bhook mar jaati hai, jaag uthti hai pyaas
Tujhko dekhenge sitare toh ziya mangenge, aur pyase teri zulfon se ghata mangenge … apne kaandhe se dupatta na sarakne dena, varna budhe bhi jawani ki dua mangenge
Tumhare pyar mein dil bekarar kab se hai … ab aa bhi jaao, mujhe intezar kab se hai


Shayaris from Movies
Unke dekhe se joh aati hai chehre pe raunak … woh samajhte hai beemar ka haal achcha hai
Zikr us parivash ka aur bayan apna … ban gaya raqeeb aakhir tha joh razdan apna
Bhaage hamare dushman meri jaan, hum mein rukna hoga … hamari mohabbat ke aage, in kamino ko jhukna hoga
Bheegi hui cigarette kabhi jalegi nahin … aur yeh tay hain ki … teri maut ki tarikh kabhi talegi nahin
Bomb woh thi blast main ho gaya … bina ruke kisi station par yeh slow train bhi fast ho gaya
Chai ki chah hai kuch aur nahi hai … ek cup agar mil jaye parvah nahi hai
Chashm-e-baddoor gar khush qadoqamat hogi … aaj fitna hai chand roz mein qayamat hogi
Guru aaya tha toh guru ghantaal bhi aayega … mere haathon se apni maut ko kabhi taal nahin payega
Hai bahut andhyar, suraj nikalna chahiye … ho kisi tarah se bhi, mausam badalna chahiye
Is shehar ko yeh malum nahi ki pada kisse paala hai … Barkhi ko mil gayi chutti, ab yeh shehar badalne waala hai
Jaam-e-mohabbat aankhon se hi pee lete hai dilwale … ek nazar mein mujhko padhkar jee lete hai dilwale
Jab se tumko dekha hai tab se tumko chaha hai … jab se tumhe chaha hai in aankhon ne sirf tumhe dekha hai
Jalte hai log na jaane kyun mere junoon se … arre ek baar toh dekh liya hota mera hunar sukoon se
Joh kali dulhan bani hai woh chaman ki jaan hai … par dahej joh kuch mila hai, jung ka samaan hai … aap meri toop hai aur sasur captaan

Shayaris from Movies
Leave my red rose you bloody red bullies … varna tum sabka red red blood flow hoga in all the gallis
Madamji ko jeetne chale hai Dev Pratap … saath hai Sanjeevani, khatam karenge paap
Main waqt ki aankh se tapka hua aansoon ka ek katra hoon … jisko mohabbat ki hatheli par agar koi sajaa le toh moti ban jaaye
Mashooq mere saath hai, boat mere haath hai … dil mein armaan hai, jigar mein toofan hai
Naya ho chahe ho purana, hai toh tumhari nishaani … kal subhe saat bajhe se shuru hogi teri meri prem kahani
Nazar ke milte hi hosh-o-awaaz kho behte … yeh ibtida hai toh kya hogi intehaa meri
Patta patta, boota boota haal hamara jaane hai … jaane na jaane koi na jaane, haal toh saare jaane hai
Pilana bhi farz tha toh kuch bhi pila diya hota … sharaab kam thi toh pani mila diya hota
Yeh udi udi si rangat, yeh luti luti si zulfen … teri halat bata rahi hai teri zindagi ka fasana
Aurat jab ho jaye khunkhar … kha jaye sari duniya maare na dhakaar
Bachpan se aaj tak is shehar ne har haq diya … lekin dekho baat pyar ki aayi toh sautela kar diya
Ban gaya main bhi mazdoor aaj se … aaj chutti hai, kaam karoonga kal se
Barsega pani aur hum sab nahayenge … promotion ki khushi mein nachenge gayenge
Behti hai hoton ko seekar, pachtayengi aap … ishq jaag uthta hai aksar, aaisi khamoshi ke baad
Dil tha tumhari yaad mein tapish-e-gham se bekarar … aankhen tumhari shakal ko dhoond rahi thi baar baar

Shayaris from Movies
Door se dekha toh Alia Bhatt … paas aakar dekha toh Mahesh Bhatt
Early to double bed and early to wake up fast … makes a male mard hatta katta and oversmart
Ek se bhale do, do se bhale chaar … manzil apni door hai, aur rasta karna hai paar
In aankhon ki masti ke mastane hazaaro hai … kehne ko toh duniya mein maikhane hazaaro hai … is shama faroza ke parwane hazaaro hai
Jin khoja tin paiyan, gehre pani paith … aur tu banwari dooban gayi, rahi kinare baith
Jis mehfil ne thukraya humko, kyun us mehfil ko yaad kare … aage lamhe bula rahe hai, aao unke saath chale
Jism-e-nazuk mein jaan khuda ki hai, mooh ke andhar zubaan khuda ki hai … jab bhi bologe sach hi bologe, varna hargiz zubaan nahi khologe
Joh taar se nikli hai, woh dhun sabne suni hai … joh saans pe ghuzri hai, woh kis dil ko pata hai

Shayaris from Movies
Lahu luhaan hua hai falak, yeh kaisa loha phigla hai … ek suraj doob gaya peeche, ek suraj samne nikla hai
Maana ki kismat ne hara diya hai dost, par itne toh gunehgar nahi hum … mare ek sipahi ki maut, kya iske bhi haqdar nahi hum
Main chala, main chala kabhi is dagar kabhi us dagar … saath mere chale zindagi ka safar
Mamla toh bahut sangeen hai, thodi ahtiyaad baratna … par ek baat yaad rakhna, dil ka toh kaam hi hai dhadakna
Talab ki raah mein kuch paane se pehle kuch khona padta hai … bade saude nazar mein ho toh chota hona padta hai


You Can also read:

  • Bollywood Shayari
  • Bollywood Movie Shayari
  • Shayari and Dialogues in Hindi
  • Superhit Dialogues
  • Filmy Dialogues
  • Leave a Reply