Are you searching for Dialogues From Hindi Movies?
These days, Internet is full loaded with Superhit Dialogues & Shayari sites. If you need to get the high-quality Dialogues From Hindi Movies & Dialogues From Hindi Films and share it together along with your family & friends then We are providing the best & Latest Collection of Dialogues & Shayari for Love like high-quality Dialogues From Films, Hindi Film Dialogues, Dialogues Of Indian Cinema, Shayaries From Movies, Bollywood Dialogues, and many more.
You can peruse here your most loved Dialogues & Shayari as indicated by your emotions like love, Pain, amusing, sentimental, energy, excruciating, inspiration about existence and so on. These Dialogues & Shayari can be imparted to your companions, relative, husband, wife, spouse, girlfriend and boyfriend or as you need. Expectation you will like this Hindi Dialogues & Shayari Collection.
Dialogues From Hindi Movies
Pyar mohabbat mein toh hum tan mann jaan lutaya … dhokha de dai dost ko ab dekh Kabira aaya
Roses are red, violets are blue … Gaurav wishes good morning to you
Sangeen duniya mein qatil ka pataa nahi poochte … aashiqon ke lutte dil hi bata denge ke bewafa kahan revhe hai
Tujhe is bazaar ka dastoor main samjha nahi sakta … bik gaya joh woh khareedar ho nahi sakta
Tumhare ishq se bani hoon main … pehle zinda thi … ab jee rahi hoon main
Umar-e-daraaz maangkar laye the char din … do aarzo mein kat gaye, do intezaar mein
Usse dekhte hi dil mein sainkado ghantiya Dolby Digital mein bhajne lagi baar baar … mil gaya mujhe mera life long pyar
Dhoondi sari duniya, dhoonde sare khopche … kahan chupa hai re tu Mussa, Sultan se bachke
Har ek nabz kala ke liye dhadakti hai … dawa bhi woh joh jale par namak chidhakti hai
Haya se sar jhuka lena, ada se muskura dena … haseeno ko bhi kitna sehal hai, bijli gira dena
Hosh mein aa zaalim gareeb jaagne waala hai … tayaar raho bhaiyo ab yeh khujane waala hai
Hum mein apna ilaaj-e-dard-e-dil karna bhi aata hai … hum aaise jeene waale hai jinhe marna bhi aata hai
Dialogues From Hindi Movies
Jinka intezar hota hai woh kahan milte hai … aur jinko khawab mein bhi na socha ho woh baar baar milte hai
Joh bhi aaya hai tere paas baitha chahe … hum kahan tak tere pehlu se sarakte jaaye
Kaam kare so soonth kare aur kuch kare afeem … karmo ki gath prani bhukte theli bhare hakeem
Kadam aahista rakho, dil bichche hai paon ke neeche … nazar tirchi na dalo, log mar jayenge teeron se
Khaak mazaa hai jeene mein … jab tak aag na lagi ho apne dushman ke seene mein
Khuda humko aaisi khudai naa de … ke apne sivah aur kuch dikhai naa de
Kis liye lade jung, kis liye hai yeh hathyaar … dushmano ko bhi bana de dost, aisa hai yeh pyar
Knife pe gira apple, apple pe gire knife … chinta meri aaise kar rahi hai, jaise meri wife
Ladkon se agar ladna hai toh ladakpan mein aana hi padega … pachpan se nikalkar bachpan mein aana hi padega
Mere khwaabon ke jharokhon ko sajane waali … tere khwaabon mein kahin mera guzar hai ki nahi
Sab hai char din ki chandni, yeh riyasate yeh wazarate … mujhe us fakir ki shaan de, ki zamana jiski misaal de
Sarkari sadak hai yeh tera ghar toh nahi hai … hum kyun na kare ishq, tera darr toh nahi hai
Sheeshay ka samundar, pani ki deewarein … maya hai, bharam hai mohabbat ki duniya … is duniya mein joh bhi gaya, woh toh gaya
Dialogues From Hindi Movies
Soocha tha khatir karenge hum bemisaal teri … woh dekh tere ghar waale aa gaye hai utaarne khaal teri
Zulm phir zulm hai … badta hai toh mitt jaata hai … khoon phir khoon hai … tapakta hai toh jam jaata hai
Ab tak na khabar thi mujhe ujhade hue ghar ki … aap aaye toh ghar be-sar-o-saman nazar aaya
Ek nayi ada aaj dekhega zamana … khud shama ko lene aaya hai parwana
Footpath har sadak hi hai aashiyan hamara … rehne ko ghar nahi hai, sara jahan hamara
Gham is kadar badhe ke main ghabra ke pee gaya … is dil ki bebasi pe taras khake pee gaya … thukra raha tha mujhko badhi der se jahaan … main aaj sab jahaan ko thukra ke pee gaya
God save me from your beautiful eyes … even an angel will get lost in them, let alone a human
Hamara yaar toh kanoon ke liye jeeta hai … vardi ke andar kanooni cheetah hai
Jab pehli baar usse mulaqat hogi … saari duniya reh jayegi sookhi lekin tere sar par halki halki barsaat hogi
Jalte ghar ko dekhne walon phoos ka chappar aapka hai … aag ke peeche tezz hawa, aage muqadar aapka hai
Jhooti aastha nahi, raasta sachcha doonga … tum mera haath pakad lo, main tumhe bachcha doonga
Jiski ek biwi uska bhi bada naam hai … washing machine ghar te lalo, te dhobi da ki kaam hai
Kya kadardano se yeh mehfil khali hai … na kahin seeti na kahin taali hai
Maut se kiski rishteydari hai … aaj hamari kal tumhari baari hai
Pareshani aur takleefon se joh door ho, woh hum hai … jiske sar par aapka haath ho, usse kya gham hai
Dialogues From Hindi Movies
Phool khilte hai, bahaaro ka samaa hota hai … aaise mausam mein hi toh pyar jawan hota hai … dil ki baaton ko hooton se nahi kehte … yeh fasaana toh nighahon se bayaan hota hai
Pyar hai zaroori aur usse must hi manoonga … last saans tak tujhe first main chahoonga
Ranjhe ka dil pehlu se satka, Heer ki zulfon mein jaa atka … lekar soti hum joh satke, maa ko teri behad khatke
Tu hi Seema ka sacha He-man hai … tune chaddi bahar nahi pehni toh kya hua … tu hi uska Superman hai
Tumhare pyar ka kya sila doon yeh nahi malum … umar mil saki agar kuch aur toh yeh bhi seekh loongi main tumse
Ungli mat kar mere ko mohabbat ke beech mein … nahi toh dafna doonga tere ko Juhu ke beach mein
Vaada kiya tha yaar ne aayenge din dhale … suraj khuda ke vaaste ho ja tale tale
Aaj itni bhi maisir nahi maikhane mein … jitni hum chhod diya karte the paimane mein
Aashiqkon ki chittaon par lagenge har baras mele … ishq par marne waalon ka yahi baqi nishaan hoga
Chahe pani ho ya patthar, Facebook ho ya Twitter … kuch bhi nahi tere pyar se badhkar … soochta hoon aksar, soochta hoon aksar
Dialogues From Hindi Movies
Chashme pehenke Karsan ji sharmaye thoda thoda … khade hai dekho sab ke beech haath mein leke ghoda
Chup nahi sakti chupane se mohabbat ki nazar … chahane waale bhi rakhte hai qayamat ki nazar
Deewana banana hai toh deewana bana de … varna kahin taqdeer tamasha na bana de
Falak ke teer ka kya dekh nishana tha, udhar thi bijli idhar mera aashiana tha … pahunch rahi thi kinare pe kashti-e-umeed, us hi waqt is toofan ko bhi aana tha
You Can also read: